Knock Sensor Function in Urdu By Maji
EFI Autos | January 13, 2018 |
Auto Sensors

Knock sensor aik aisa sensor hai jo aik coil per mushtamil hota hai yeh sensor bhohat sensitive hota hai yani yeh halki phulki viberation bhi mehsoos kar lata hai
is sensor ka kaam yeh hota hai ke aik khas qisam ki vibration mehsoos karna, sub se pehle mein yeh bata data hoon ke yeh kahaan connect hota hai, yeh sensor Engine ke cylinder ke
sath connect hota hai, aur jub engine start hota hai aur piston oper neeche harkat karte hein aur yeh aik khas qisam ki viberation jo piston ki up down se hota hai mehsoos karta hai,
aur agar sensor aik khas qisam ki viberation mehsoos na kare to to yeh engine control module ko order karta hai ke timing mein up down kare aur jub yeh khas kisam ki viberation hasil kar lata hai
to engine wohi timing barkarar rakhta hai, aur agar engine control module bhi knock sensor ki demad ko poora na kar paye to engine control module Check ligh yani engine light odo meter mein show kar
data hai, jis ko hum scan kar ke code ke help se hum kisi khas topic pe work kar sakte hein, bahz noqat knock sensor ki coil kamzor hone ke bawajood bhi sensor aik khas qisam ki viberation hasil nhi kar pata
Mazeed Maloomat hasil hote hi Yeh post update kia jaye Ga
Crank Sensor Function In Urdu By Maji
EFI Autos | January 12, 2018 |
Auto Sensors
Crank sensor aik aisi device hai jo autos ke engine mein istamal hoti hai issay aam alfaz mein crank sensor kehte hein, Yeh sensor Diesel aur Petrol both vehicles mein
istamal hota hai, Crank sensor Piston ki position ko sense karta hai aur crank ki rotating ki speed ko sense karta hai aur yeh information engine control module (ECM)
use karta hai aur Engine mein coils ka current aur engine ke fuel injectors ko control karta hai, Crank sensor se pehle vehicles mein distributer istamal kya jata tha
Yeh hai destributer
Aur Yeh hai Crank sensor ke Diagrame yeh kahaan connect hota hai
Camshaft Position Sensor A Circuit Bank 1 in Urdu P0340 TOYOTA
EFI Autos | January 06, 2018 |
Auto Error Code
- Camshaft Position Sensor mein kharabi
- Camshaft Position Sensor ki Androoni cap damage
- Camshaft Position Sensor ka circuit kamzoor ho
- Starter ka bhari hona
- Startter ki wire loose
- Battery ka kamzor hona
Kab yeh code show hota hai?
Jub hum car start karte hein engine harkat (cranking) karta hai aur Camshaft position sensor ke signals Engine Control module (ECM) mosool nhi karta.
Mumkin Alamat:
- Engine Light ka on hona
- Engine ki power mein kami mehsoos karna
- Engine ke kampna
P0340 Code ki Wazahat:
Camshaft position sensor aik aisi device hai jo auto engine mein use ki jati hai jis ka maqsad hota hai camshaft moving yani (rotating) ko dakhna aur yeh information ECM use karta hai aur ECM coil aur injectors ko us hissab se control karta hai, Camshaft sensor Camshaft ke utar charao ko mad-ae nazar rakhte huay kisi khas cylinder ki shanakht karta hai. Camshaft position sensor Piston ki position ko dakhta hai
Camshaft sensor camshaft mein aik garari ke sath fit hota hai jsi ke danday hota hein aur un danddon ki wajah se yeh ECM ko pulses deliver karta hai aur ECM apna kam ba-khoobi Injam data hai.
Jub crankshaft sensor kam karna chor data hai to camshaft position sensor engine ke parts ko mukhtalif control data hai bajay cylinder ki timings aur signal ki shanakht kiay baghair.
