Air Fuel sensor aur Oxygen sensor mein Farq

A/F Air fuel sensor and Oxygen sensor


ELECTRIC CONTROL MODULE (ECM) oxygen sensor ke signal ki bunyad per yadhani karta hai ke catalytic converter mein Air aur fuel ka tanasab baraber hai.
In sensors ki madad se ECM intake air stream mein Air aur fuel ka tanasab barkarar rakhta hai.

Mulhtilaf qisam ke oxygen sensor hein leken in mein se 2 qismein aam hein.



Oxygen Sensor
Puranne style mein tang (narrow) range sensor ko aam tor per Oxygen sensor kehte hein.


A/F Air Fuel Sensor
Kushada range me new style mein oxygen sensor ko Air Fuel (A/F) sensor kehte hein.

Description
OBD2 vehicles ko oxygen sensor ya air fuel sensor ki zaroorat hai, yeh sensor aik catalytic converter se pehle aur aik catalytic converter ke bahd istamal hota hai, Catalytic converter se pehle jo istamal hota hai woh ECM air aur fuel ke tanasab ko barqarar rakhne mi liay use karta hai aur jo catalytic converter ke bahd istamal hota hai woh ECM bunyadi for per catalytic converter ki kargardagi maloom karne ke liay istamal karta hai.
Oxygen sensor or A/F sensor which jo catalytic converter se pehle istamal hota hai ussay bank 1 sensor kehte hein aur jo catalytic converter se bahd istamal kya jata hai ussay bank 1 sensor 2 kehte hein, issi tarha agar engine v shape yani doubble cam ho to us mein 2 exaust hote hein jinhein sik ko bank 1 aur bank 2 ka name dia jata hai


Bank 1
  1. Catalytic converter se pehle jo oxygen sensor istamal hota hai ussay bank 1 senser 1
  2. Catalytic converter ke bahd jo oxygen sensor istamal hota hai ussay bank 1 sensor 2 kehte hein.


Bank 2
  1. Catalytic converter se pehle jo oxygen sensor istamal hota hai ussay bank 2 senser 1
  2. Catalytic converter ke bahd jo oxygen sensor istamal hota hai ussay bank 2 sensor 2 kehte hein.




Post a Comment

Thanks for comment

http://youtube.com/efiautos

To be published, comments must be reviewed by the administrator *

Previous Post Next Post