Camshaft Position Sensor A Circuit Bank 1 in Urdu P0340 TOYOTA

New Page 1 Mumkin Wajoohat:
  • Camshaft Position Sensor mein kharabi
  • Camshaft Position Sensor ki Androoni cap damage
  • Camshaft Position Sensor ka circuit kamzoor ho
  • Starter ka bhari hona
  • Startter ki wire loose
  • Battery ka kamzor hona


Kab yeh code show hota hai?
Jub hum car start karte hein engine harkat  (cranking) karta hai aur Camshaft position sensor ke signals Engine Control module (ECM) mosool nhi karta.


Mumkin Alamat:
  • Engine Light ka on hona
  • Engine ki power mein kami mehsoos karna
  • Engine ke kampna


P0340 Code ki Wazahat:
Camshaft position sensor aik aisi device hai jo auto engine mein use ki jati hai jis ka maqsad hota hai camshaft moving yani (rotating) ko dakhna aur yeh information ECM use karta hai aur ECM coil aur injectors ko us hissab se control karta hai, Camshaft sensor Camshaft ke utar charao ko mad-ae nazar rakhte huay kisi khas cylinder ki shanakht karta hai. Camshaft position sensor Piston ki position ko dakhta hai
Camshaft sensor camshaft mein aik garari ke sath fit hota hai jsi ke danday hota hein aur un danddon ki wajah se yeh ECM ko pulses deliver karta hai aur ECM apna kam ba-khoobi Injam data hai.
Jub crankshaft sensor kam karna chor data hai to camshaft position sensor engine ke parts ko mukhtalif control data hai bajay cylinder ki timings aur signal ki shanakht kiay baghair.




Post a Comment

Thanks for comment

http://youtube.com/efiautos

To be published, comments must be reviewed by the administrator *

Previous Post Next Post